kabhi na mere qalam ki giraft mein aae ye bhagte hue lamhe ye daudte sae wo zor ab mere sukhe hue badan mein kahan muhaal hai meri aawaz dur tak jae zamin-e-sher mein jab quwwat-e-numu hi nahin hazar sinchiye sabza bhi kya nazar aae yahan to maslahatan jhut ko bhi sach kahiye hum aisi maslahat-e-narawa se baz aae hum aise ahl-e-nazar ke liye farishta hai wo aadmi jo kisi aadmi ke kaam aae ab aane wale nae sal par nazar rakkho chaman mein phul khilae ki aag barsae 'asar' ghayur agar hai to kaise mumkin hai kisi ke samne dast-e-sawal phailae