khud apni zat se insan be-khabar kyon hai shuur-e-dida-wari hai to kam-nazar kyon hai jo aaina teri zarb-e-nigah sah na saka us aaine pe abhi khat-e-mustaqar kyon hai kabhi ka chhod chuka hun dayar-e-shauq magar ye mere sath lagi gard-e-rahguzar kyon hai daraaz silsila-e-arzu bahut hai magar mujhe batao hayat itni mukhtasar kyon hai jo kal ki baat hai wo aaj kyon nahin hoti ye itna fasla az sham ta sahar kyon hai jalae baitha hun main apne fikr-o-fan ka charagh ye mera zarf hai yaron ko dard-e-sar kyon hai fareb kitna ba-nam-e-khulus khae koi har ek baat teri ghair mo'atabar kyon hai badi ajib hai us aadmi ki fitrat bhi kushada zehn agar hai to kam-nazar kyon hai