kabhi na socha tha main ne udan bharte hue ki ranj hoga zamin par mujhe utarte hue ye shauq-e-ghota-zani to naya nahin phir bhi utar raha hun main gahraiyon mein darte hue hawa ke rahm-o-karam par charagh rahne do ki dar raha hun nae tajrabaat karte hue na jaane kaisa samundar hai ishq ka jis mein kisi ko dekha nahin dub ke ubharte hue main us gharane ka chashm o charagh hun jis ki hayat guzri hai khwabon mein rang bharte hue main sab se milta raha hans ke is tarah ki mujhe kisi ne dekha nahin tutte bikharte hue 'faragh' aise bhi insan main ne dekhe hain jo sach ki rah mein pae gae hain marte hue