koi makin bhi na tha us makan se lauta hun khuda hi jaanta hai main kahan se lauta hun hayat guzri thi kirdar jis ke gadhne mein zalil ho ke usi dastan se lauta hun na koi naqsh nazar mein na dhul kapdon pe samajh mein kuchh nahin aata kahan se lauta hun jahan pe aa ke mukammal hue wajud tamam adhura ho ki akela wahan se lauta hun wo khushbuen to mere tak mein hi thin raqsan talash kar ki jinhen gulistan se lauta hun zamin walon zamin ki na dastan puchho guzishta raat hi main aasman se lauta hun jahan pe 'fani' ko fani banaya jata hai main ab ke bar usi aastan se lauta hun