kabhi nasheb mein tha aur kabhi faraaz mein tha

kabhi nasheb mein tha aur kabhi faraaz mein tha
ye aabshaar-e-mohabbat dilon ke raaz mein tha

mere khilaf hi sazish wo kar rahe the magar
ajib baat hai shamil main saz-baz mein tha

tumhein khabar hi nahin us ke habshiyo ki kabhi
meri sada ka fusun bhi har ek jaz mein tha

tamam umr main be-ghar raha khabar na hui
ki mera ghar usi chashm-e-fusun-taraaz mein tha

main ab na qaid lakiron mein hun na rangon mein
hazar pahle muqayyad main dam-e-az mein tha

zamin pe gir ke yakayak jo pash pash hua
tumhein khabar hi nahin main usi jahaz mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close