go us ki shakl ab hai kuhan-sal ki tarah bhula nahin main ganw ki chaupal ki tarah sahra-e-hirs-o-az mein koi to aaega phailaun apne aap ko main jal ki tarah andar ka ras nichoda to shadab tha bahut lagta tha yun to sukhi hui dal ki tarah mujh se kahan bachega ki har rag mein hun nihan phaila hun tere jism mein main jal ki tarah kab se hai intizar ki aae koi idhar main dasht mein hun jada-e-pamal ki tarah