kabhi nasib ki bhule se bhi sahar na hui

kabhi nasib ki bhule se bhi sahar na hui
baghair hasrat-o-gham zindagi basar na hui

sahar qarib hai sham-e-hayat bujhti hai
dayar-e-ghair mein yaron ko hi khabar na hui

tumhein qarib se dekhta to khud ko pahchana
shua-e-hasrat-e-dil hum pe be-asar na hui

kahan kahan na hui dastan-e-dil ruswa
wo ku-ba-ku na hui ya ki dar-ba-dar na hui

mariz-e-ishq ka to is qadar fasana hai
dawa ho ya ki dua koi kargar na hui

uthain tohmaten hum ne jahan-bhar ki magar
zara si bhul ki bhi tum se darguzar na hui

agarche mai-kada mein tishnagi ghazab ki thi
hamare waste hi mehrban nazar na hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close