uns to hota hai diwane se diwane ko koi apna ke dikhae kabhi anjaane ko khud-kushi jaisa koi jurm nahin duniya mein koi batlata nahin ja ke ye parwane ko saqi-e-waqt ne jab chhin li hathon se sharab main ne takra diya paimane se paimane ko khak-zada nahin paida hua aisa koi jo haqiqat mein badal de mere afsane ko abrha jaisa agar ho gaya paida koi kya bacha paenge hum apne khuda-khane ko ek mufsid ki ye phailai hui hai afwah raat-bhar shama se nafrat rahi parwane ko