kabhi nazuk kabhi behad kada hai wo 'tughlaq' samne ban kar khada hai kharashen pad gai hain aasman par zamin se aaj shayad wo lada hai wo ab be-kar shai hai apne ghar ki kabhi andar kabhi bahar pada hai zamana sath tha baadal mein us ke chamakti dhup mein tanha khada hai khizan ka rang hai kaisa suhana na patta ped se koi jhada hai bahut ilzam ki barish hui thi na thahri bund wo chikna ghada hai muqaddar khwab sae ka hai chamka mere qad se bhi 'jafar' wo bada hai