dil ki kya qadr ho mehman kabhi aae na gae is makan mein tere paikan kabhi aae na gae aap ishq-e-gul-o-bulbul ki rawish kya jaanen andarun-e-chamanistan kabhi aae na gae hum ne ghar apna hi wahshat mein bayaban samjha bhul kar su-e-bayaban kabhi aae na gae phir bhi karte hain bayan mulk-e-adam ka ahwal jite ji hazrat-e-insan kabhi aae na gae samjhen wo kya ki hain kis haal mein aasuda-e-khak jo sar-e-gor-e-ghariban kabhi aae na gae rakh liya ishq mein ashkon ne bharam rone ka ye guhar ta sar-e-mizhgan kabhi aae na gae qadr kya ahl-e-zamana ko hamari ho 'rashid' hum kahin ban ke sukhan-dan kabhi aae na gae