kabhi numayan kabhi tah-nashin bhi rahte hain yahin pe rahte hain hum aur nahin bhi rahte hain bhatakti nazron mein hain murtakiz nigahen bhi guman-kadon mein kuchh ahl-e-yaqin bhi rahte hain agarche hum ko muqaddam hai rah-e-khidmat-e-khalq jo baz aae to apne tain bhi rahte hain baja shawahid o mantiq qubul bahs o dalil pa hum khata-e-nazar ke qarin bhi rahte hain hijab fikr-o-nazar ke utha ke dekho to hamare fan mein kai naznin bhi rahte hain shabahaten si ghubar-e-had-e-nigah mein hain pas-e-falak kahin ahl-e-zamin bhi rahte hain tum apne thor-thikanon ko yaad rakkho 'saz' hamara kya hai ki hum to kahin bhi rahte hain