kyun pareshan hua jata hai dil kya jaane kaisa pagal hai ki pani ko bhi sahra jaane main wo aawara ki baadal bhi khafa hain mujh se tu zamane ko bhi thahra hua lamha jaane dhup ki gard fazaon mein dilon mein tabut har nafas khud ko bas ek aag ka dariya jaane os ki bund bhi ab sang-sifat lagti hai phul ke bagh ko dil aag ka dariya jaane raat patthar mein dhali chand bhi kala nikla aise manzar ko bhi ab aankh tamasha jaane be-sada gumbad-e-ehsas hua mohr-ba-lab phul ke dard ka qissa koi kanta jaane din ki khandaq ka dhuan shahr se aage bhi gaya kis tarah ghar ka pata koi parinda jaane