kabhi ojhal kabhi pesh-e-nazar hai mohabbat mein shararat ka asar hai lachak jaegi shakh-e-gul kahan par nazakat se wo apni be-khabar hai adaen dil pe dastak de rahi hain mohabbat guftugu se baala-tar hai unhen haq hai wo mujh se ruth jaen magar dil mein rahen ye un ka ghar hai khayalon mein raha karta hai har dam bichhad kar bhi wo mera ham-safar hai agar mumkin ho khushbuon se bhar do kahani zindagi ki mukhtasar hai jhukaegi use kya khak duniya khuda ke samne jhukta jo sar hai milegi manzil-e-'maqsud' ek din abhi shadab khwahish ka shajar hai