nagin hai zulf-e-yar na zinhaar dekhna ud ud ke katti hai khabar-dar dekhna kahte hain log mujh se ye kha kha ke ab qasam khunkhar hai ye shokh sitamgar dekhna shirin dahan na bujhiyo hain shahd ki chhuri hans hans ke jaan len hain ye atwar dekhna kahta hun dar jawab unhon ke mein ru-ba-ru chaho so ho par mujhe ek bar dekhna qabu mein aata to nahin hai mere raqib kahin dad ban gaya to mere yar dekhna shana samajh ke kijiyo zulfon ko apni yar uljha hai us mein dil ye giraftar dekhna dil khush hua kahin to phir apna ye hai shiar ja kar ke bagh mein gul-o-gulzar dekhna apni nazar to 'nayan' khuda par hai ho so ho jo aan baz khae so lachaar dekhna