kabhi padho to mujhe harf-e-mo'tabar ki tarah ye kya ki padhte ho farsuda si khabar ki tarah qalam to karte ho sar ko mere magar sun lo main reg-zar-e-wafa mein hun ek shajar ki tarah udasi khol ke baal apna so rahi hai yahan ki jaise shahar mein har ghar hai mere ghar ki tarah hamare zauq-e-parastish ko tum duaen do chamak rahe hain ye patthar jo ab guhar ki tarah masham-e-jaan mein abhi tak hai us badan ki bas khila tha raat jo ek ghuncha-e-sahar ki tarah har ek sang pata puchhta hai ghar ka mere nahin hai kya koi sar aur mere sar ki tarah nawah-e-jaan mein ujalon ka raqs hai 'shibli' ye kaun aaya dabe panw yun sahar ki tarah