kabhi phulon se bahlaya gaya hun kabhi kanton mein uljhaya gaya hun tamanna hai unhin par jaan de dun ki jin ke dar se uthwaya gaya hun meri qismat mein bachna tha bacha main go har manzil pe bahkaya gaya hun main ek aazad ruh-e-la-makan tha yahan kis waste laya gaya hun mujhi par kyon hai ye ilzam-e-hasti na main samjha na samjhaya gaya hun main rota tha ba-tarz-e-tifl-e-nadan badi mushkil se bahlaya gaya hun yahi shayad mohabbat ki saza hai pakad kirdar par laya gaya hun ibaadat ka maza lene ki khatir bahut murshid ke ghar aaya gaya hun 'aziz' un ki inayat ki badaulat kahan se main kahan laya gaya hun