jab kabhi shaghl se khali ye bashar hota hai to dimagh us ka shayatin ka ghar hota hai qalb mein jis ke ho iman-o-amal ki taqat wo kisi se bhi nahin darta nidar hota hai be-amal ki to duaen bhi palat aati hain ba-amal ki hi duaon mein asar hota hai har zamane mein hasad karte hain us se kuchh log jo bhi aarasta-e-ilm-o-hunar hota hai waqt paband-e-hazar to kabhi hota hi nahin wo to har aan hi sargarm-e-safar hota hai qadr-o-qimat nahin ab zat-o-sharafat ki yahan us ki azmat hai ki jo sahab-e-zar hota hai jo ata karta hai duniya ko koi fan-para ba'd marne ke bhi nam us ka amar hota hai ham-khayal apne jo mil jate hain kuchh log 'aziz' waqt phir apna bahut khub basar hota hai