kabhi pukar ke dekha kabhi bulae to

kabhi pukar ke dekha kabhi bulae to
hudud-e-zat se aage nikal ke aae to

pila raha hai nigahon ko tirgi ka lahu
fasil-e-jaan pe wo koi diya jalae to

sajae rakkhungi apne guman ki duniya
mere yaqin ki manzil pe koi aae to

ye aankhen nind ko tarsi hui hain muddat se
wo khwab-zar-e-shabistan koi dikhae to

ghurur ishq ke aadab sikh jaega
kabhi wo ruth ke dekhe kabhi manae to

hawa ki chap mein shamil hain aahaten us ki
saliqa dil ko dhadakne ka bhi sikhae to


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close