lakh teri hi tarah kyon na paraya hota tujh sa koi to mere dhyan mein aaya hota waqt ke sath to chalta hai zamana sara waqt ke sath meri tarah nibhaya hota main tere shahr mein tanha hun na jaane kab se tu na hota teri diwar ka saya hota khilkhilate hue lamhon se lipatne walo ruthne wali ruton ko bhi manaya hota yun to har ek shabistan hai munawwar tujh se kabhi mera bhi koi khwab sajaya hota le gaya sath uda kar meri ninden 'parwaz' dhyan mein kash na wo shakhs samaya hota