kabhi qalaq mein kabhi fikr-o-intizar mein hain hazar tarah ke sadme firaq-e-yar mein hain wo sun ke qissa-e-gham hanste hanste lot gaya ye shokhiyan bhi nai shokh-e-gul-ezar mein hain main kya bayan karun aage tere ai 'zahid' ajib kaifiyaten nashsha ke khumar mein hain jahan mein hum ne uthae the ranj kya kya kuchh fana ke baad bade chain se mazar mein hain wo hum ko qatl karen chahen tukde tukde karen hum un ke bas mein hain hum un ke ikhtiyar mein hain khuda kare ki na aaen wo fatiha padhne ki tin din abhi bhaari mujhe mazar mein hain nasihat aap to karte hain hazrat-e-naseh main jaanta hi nahin aap kis shumar mein hain payambar ye bhi kahna hamari jaanib se tumhaari yaad mein hain aur intizar mein hain khuda ke fazl se katti hai lutf se ai 'ranj' bade maze mein hain hum bhi badi bahaar mein hain