ishq mein dosto maza bhi hai sakht aafat bhi hai bala bhi hai bosa to mil chuka mujhe sarkar meri ek aur iltija bhi hai mujh sa aashiq kaho khuda ki qasam koi duniya mein dusra bhi hai wada kar ke buto na hum se phiro kuchh to dil mein daro khuda bhi hai tere is jaur ki hai kuchh had bhi is sitam ki kuchh intiha bhi hai aaj jata hun us ke kuche ko sath mere meri qaza bhi hai mujh se kahte hain ab tere dil mein aur koi mere siwa bhi hai aise mashuq hote hain kamyab ba-wafa bhi wo ba-haya bhi hai main ne chheda jo bazm mein to kaha be-haya tujh ko kuchh haya bhi hai sach kaho 'ranj' sa koi shair hyderabad mein hua bhi hai