kabhi sahar to kabhi sham le gaya mujh se tumhaara dard kai kaam le gaya mujh se mujhe khabar na hui aur zamana jate hue nazar bacha ke tera nam le gaya mujh se use ziyaada zarurat thi ghar basane ki wo aa ke mere dar-o-baam le gaya mujh se bhala kahan koi juz is ke milne wala tha bas ek jurat-e-nakaam le gaya mujh se bas ek lamhe ke sach jhut ke ewaz 'farhat' tamam umr ka ilzam le gaya mujh se