kabhi sahra kabhi gulzar bhi hai mohabbat kaif bhi aazar bhi hai meri palkon se aansu chun ke dekho har ek aansu mein nok-e-khar bhi hai chale jab rah-e-haq par sochna kya shajar yan koi saya-dar bhi hai yahan yusuf bike hain kaudiyon mein ye duniya misr ka bazar bhi hai saba ham-raaz-e-gul hoti hai lekin talluq bais-e-azar bhi hai kaho haq baat mandela ki manind agar kuchh jurat-e-izhaar bhi hai wafa ke nam par dukh sahne walo judai marham-e-azar bhi hai thi us ki aankh pur-nam waqt-e-rukhsat dil-e-ranjur ab sarshaar bhi hai