kabhi sahra mein rahte hain kabhi pani mein rahte hain na jaane kaun hai jis ki nigahbani mein rahte hain zamin se aasman tak apne hone ka tamasha hai ye sare silsile ek lamha-e-fani mein rahte hain sawera hote hote roz aa jate hain sahil par safine raat bhar dariya ki tughyani mein rahte hain pata aanhken ko milta hai yahin sab jaane walon ka sabhi is aaina-khane ki hairani mein rahte hain idhar hum hain ki har kar-e-jahan dushwar hai hum ko udhar kuchh log har mushkil ki aasani mein rahte hain kise ye nili pili titliyan achchhi nahin lagtin ajab kya hai jo hum bachchon ki nadani mein rahte hain yahi be-chehra o be-nam ghar apna thikana hai hum ek bhule hue manzar ki virani mein rahte hain