jaise koi daera takmil par hai in dinon mujh par guzishta ka asar hai zindagi ki band sipi khul rahi hai aur us mein ahd-e-tifli ka guhar hai dil hai raaz-o-ramz ki duniya mein shadan aql ko har aan tashwish-e-khabar hai ek tawaqquf-zar mein gum hai tasalsul lamha-e-maujud goya umr bhar hai zehan mein rauzan anokhe khul rahe hain jin se an-sochi hawaon ka guzar hai fasle taqsim hi hote nahin jab 'saz' phir kya sust-rau kya tez-tar hai