kabhi shuur kabhi dil kabhi sukhan mahke kaho wo sher ki duniya-e-fikr-o-fan mahke ata hamein bhi jo ho jae 'mir' ka andaz to lafz lafz se mani ka pairahan mahke rahun khamosh to phulon ko nind aa jae padhun jo sher to lafzon ka bankpan mahke larazte honton ki wo guftugu to yaad nahin bas itna yaad hai barson lab-o-dahan mahke dabi hui hai jo sadiyon se gham ki chingari bhadak uthe to khayalon ki anjuman mahke kabhi to aisa zamana bhi aae ai 'gauhar' mohabbaton ki faza se mera watan mahke