jaan-e-bahaar-e-zindagi aankhen zara milae ja gulshan-e-qalb par mere barq-e-nazar girae ja apna mujhe banae ja dil mein mere samae ja band-e-hijab tod de naqsh-e-dui mitae ja mutrib-e-khush-nawa na ja zakhm-e-jigar kured kar chheda hai jis pe saz-e-dil naghma wahi sunae ja mausam-e-gul ka wasta abr-e-bahaar ki qasam jab tak girun na jhum kar saqi mujhe pilae ja mana ki thak gae hain panw hausla-e-shabab ke phir bhi thahar ke dam na le aage qadam badhae ja thes lage laga kare dard uthe utha kare aankhon se khun baha kare phir bhi tu muskurae ja naz-o-niyaz-e-ishq ka khatm na ho ye silsila 'nazish'-e-khasta-haal ko hans hans ke tu rulae ja