kabhi sitam ko sitam na samjhe firaq ko bhi alam na samjhe hue jo be-khud to hum na samjhe ki zauq-e-hijr-o-visal kya hai wo is tarah se hai jalwa-farma ki talib-e-did hai zamana jo hum se madd-e-nazar tha chhupna zuhur ka nam kyon kiya hai main apni haalat pe kyon hun pur-gham jahan mein koi nahin hai khurram jo dil hai ghunchon ka tang har dam gulon ka sina phata hua hai ye kam-sini teri aur ye mazmun ye fikr-e-salim ye tab-e-mauzun zarur hasid ka dil ho pur-khun ki tu ne 'maikash' ghazab kiya hai