khuda jaane dil ko mere kya hua hai tumhin se khafa hai tumhin par fida hai taghaful hi anjam se apne behtar teri be-rukhi se meri ibtida hai main khud mani-e-husn hun ai sitamgar magar kuchh judai mein teri maza hai mera dil hai markaz tumhaare sitam ka kisi par kiya tum ne mujh par hua hai main is daur-e-hasti mein wo daera hun ki har intiha par meri ibtida hai na kuchh kah saka main na samjhe wahi kuchh bahut der socha ki kya muddaa hai mujhe apne hone ke hain lakh shikwe kiya tum se shikwa ye apna gila hai hai mardud-e-dair aur kabe se farigh na momin na kafir ye dil kya bala hai main har falsafe ki haqiqat hun 'maikash' main jis mein nahin falsafa hi wo kya hai