kabhi sitara kabhi ramz-o-istiara hua ajib dhang se wo mujh pe aashkara hua sabhi ne aaina dekha abhi musallam tha teri nigah padi aur para para hua rakha gaya hai hifazat se self mein mujh ko ki jaise main bhi khususi koi shumara hua hamin ne aag lagai thi apne daman mein phir us ke baad na aansu koi sharara hua lahu ka qatra tha wo bhi jo apni gardish mein kahin charagh bana aur kahin sitara hua tere jamal ka sauda to kar liya lekin kabhi nigah kabhi jaan ka khasara hua nafas nafas teri hamsaegi mili mujh ko main tera parda hua tu mera nazara hua