dard ka kaisa rishta hai shahnai se ladli beti puchh rahi hai mai se shadabi zakhmon mein kaise aaegi an-ban thahri hai meri purwai se aankhon ke pyale mein duniya rahti hai us ko dekhunga man ki binai se dasht ki jaanib nikla hai phir us ke sath yusuf dhoka khaega phir bhai se apne andar kafi dub chuka hun main niklun kaise jism ki gahri khai se soch samajh kar us se baaten karta hun parbat paida ho jata hai rai se sunne wala koi nahin aata 'khurshid' shor lipat kar rota hai tanhai se