kabhi sitare kabhi kahkashan bulata hai hamein wo bazm mein apni kahan bulata hai na jaane kaun si uftad aa padi hai ki jo hum ahl-e-ishq ko kar-e-jahan bulata hai ye kaisa dam-e-rihai bichha diya us ne zamin pakadti hai aur aasman bulata hai gali gali mein aqidon bhari dukanen hain qadam qadam pe naya aastan bulata hai bhatak gae hain magar gum nahin hue hain kahin abhi hamein jaras-e-karwan bulata hai ye aag lagne se pahle ki baz-gasht hai jo bujhane walon ko ab tak dhuan bulata hai ummid tutne lagti hai jab bhi koi 'salim' to ek yaqin pas-e-wahm-o-guman bulata hai