tir pahlu mein nahin ai rufaqa-e-parwaz tair-e-jaan ke ye par hain barae parwaz yun to par-band hun par yar paron par mere jo girah teri hai so uqda-kusha-e-parwaz ek parwaz ki taqat nahin us ja se mujhe aur jo hukm ho sayyaad siwae parwaz dekhiyo nama na laya ho kabutar is ka kuchh mere kan mein aati hai sada-e-parwaz be-par-o-baali pe ghash hun ki ye har dam hai rafiq thi par-o-baal hi tak hum se wafa-e-parwaz apne nazdik to is dam mein phans kar sayyaad kisi kam-bakht ko howega hawa-e-parwaz to bhi us tak hai rasai mujhe 'ehsan' dushwar dam lun gar par-e-jibril bara-e-parwaz