kabhi socha na tha itni bhi sarshaari kabhi hogi ki tera nam padhte hi talabgari kabhi hogi kabhi rote hue hans dun kabhi hanste hue ro dun kabhi mahfil sajaungi aza-dari kabhi hogi sitam-ijado diwaren junun atwar hi thahrin tere mahfil mein aa jaane pe be-zari kabhi hogi bahut maruf rakkha tha tere khwabon ne dar-parda sunana chahen haal-e-dil to dushwari kabhi hogi nahin malum tha ghaul-e-raqiban sath chalta hai na koi haal puchhega na gham-khwari kabhi hogi