wahshat-e-dil ne kahin ka bhi na rakkha mujh ko dekhna hai abhi kya kahti hai duniya mujh ko asar-e-qaid-e-tayyun se bhi aazad hai dil kis tarah band-e-alaeq ho gawara mujh ko lene bhi de abhi mauj lab-e-sahil ke maze kyun duboti hai ubharne ki tamanna mujh ko khwahish-e-dil thi ki milta kahin sauda-e-junun main ne kya manga tha qismat ne diya kya mujh ko teri be-pardagi-e-husn ne aankhen kholin tang-damani-e-nazzara thi parda mujh ko aakhiri daur mein madhosh hua tha lekin laghzish-e-pa ne meri khub sambhaala mujh ko umr sari to kati dair-o-haram mein ai 'shauq' is pe sajda bhi to karna nahin aaya mujh ko