kabhi soz-e-dil ka gila kiya kabhi lab se shor-e-fughan utha koi ahl-e-zabt bhala buto use kya kare jo dhuan utha ye khuda ki shan to dekhiye ki khuda ka nam hi rah gaya mujhe taza yaad-e-butan hui jo haram se shor-e-azan utha mere sabr ne bhi ghazab kiya ki adu ki jaan pe ban gai ye kahan ki chot kahan lagi ye kahan ka dard kahan utha jo kabhi lagi ki khabar suni to ghazab ki chot yahan lagi mujhe soz-e-dil ka guman hua jo kisi ke ghar se dhuan utha na hua ilaj-e-gham-e-khudi kisi barahman se na shaikh se mujhe is bala se bachane ko jo utha to pir-e-mughan utha ye jahan dam-e-fareb hai jo chale to dekh ke chal zara jo tujhe khayal ho did ka to samajh ke aankh yahan utha teri rah-e-shauq mein zoaf se kahun haal-e-'natiq'-e-zar kya ye wahin utha hai jahan gira ye wahin gira hai jahan utha