junun talash mein hai pa na le bahaar mujhe nadim! ab na mere nam se pukar mujhe surur-e-baada-e-na-khurda raqs-e-bazm-e-hayat bahut pasand hai aain-e-intizar mujhe phir aaj ham-safar-e-zindagi kahan hun main ye kaun rah bhulata hai bar bar mujhe zamana-sazi-e-ahbab abhi nahin samjha samajh raha hun zamana hai sazgar mujhe suqut-e-nabz khabar hai sukun-e-khatir ki ab aa chala hai ab aa jaega qarar mujhe go dosti na sahi dushmani nibah to di mila nasib se dushman wafa-shiar mujhe adam ka zinda namuna hun main yahan 'natiq' wajud mang ke laya hai mustaar mujhe