kabhi su-e-manzil jo hum dekhte hain

kabhi su-e-manzil jo hum dekhte hain
tumhaare hi naqsh-e-qadam dekhte hain

teri aankh mein apna gham dekhte hain
zamane mein aisa to kam dekhte hain

bhari bazm mein aaj ek dusre ko
na tum dekhte ho na hum dekhte hain

bade log karte hain jo karname
unhen pattharon ke sanam dekhte hain

jawan azm rakhte hain rah-e-wafa mein
kahan hum ye thakte qadam dekhte hain

watira hai jin ka yahi zohd-o-taqwa
tasawwur mein shah-e-umam dekhte hain

jo uljhe hue hain gham-e-zindagi mein
teri zulf-e-barham ke kham dekhte hain

tabiat mein jin ki koi maslahat ho
wo chalne se pahle qadam dekhte hain

mohabbat hai 'anwar' tamir-e-alam
mohabbat se har shai ko hum dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close