kabhi sukun kabhi sabr-o-qarar tutega agar ye dil hai to phir bar bar tutega wo apne zarf se badh kar bhara hua baadal ye dekhna kahin be-ikhtiyar tutega wo ek pal bhi kisi roz aa hi jaega ki jab ye zindagi par e'tibar tutega wagarna chalta rahega ye silsila yun hi main tut jaun tabhi intishaar tutega phir ek bar ghalat nikla ye qayas mera gira chatan pe to aabshaar tutega tere zawal ki manzil abhi nahin aai nasha to tut chuka ab khumar tutega isi khayal se shayad dara hua hai saz agar ye rag na tuta to tar tutega koi udas sa naghma hi gungunaen hum tabhi tilsim-e-shab-e-intizar tutega