qasida fath ka dushman ki talwaron pe likkha hai jo hum ne nara-e-takbir yalghaaron pe likkha hai shanasai bhi tere shahr mein jab ajnabi thahri to apna nam hum ne ghar ki diwaron pe likkha hai shab-e-gham aasman ko takta rahta hun pahron yun ki jaise gardish-e-qismat ka hal taron pe likkha hai amal se dosto duniya hai jannat bhi jahannam bhi nisab-e-zindagi insan ke kirdaron pe likkha hai use puje hai 'muztar' ugta suraj jaan kar duniya ki jis ne nam apna waqt ke dhaaron pe likkha hai