kabhi sukun to kabhi iztirab bhi jhela

kabhi sukun to kabhi iztirab bhi jhela
khuli jo aankh to anjam-e-khwab bhi jhela

qadam qadam pe purane sabaq bhi yaad aae
qadam qadam pe badalta nisab bhi jhela

bayaz-e-dil ke sunahre huruf bhi chume
kitab-e-jaan pe likha intisab bhi jhela

hamara haq bhi musallam tha qatre qatre par
hamin ne tishna-labi ka azab bhi jhela

kabhi jo aaina-khane ki sair ko nikle
to ek manzar-e-khud ehtisab bhi jhela

chale to sare zamane ko sath le ke chale
ruke to aalam-e-khud-ijtinab bhi jhela

na jaane kis ki rahi justuju 'ziya' hum ko
ki hum ne ek dil-e-khana-kharab bhi jhela


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close