main jab bhi tere shahr-e-khush-asar se nikla ek qabr ka tukda bhi falak-zar se nikla har war mein muzmar teri hikmat hai sipahi har jit ka muzhda teri talwar se nikla phir apni hi haibat mein giraftar hua main phir koi darinda mere pindar se nikla ye kis ne safine ko nikala hai bhanwar se ye kaun shanawar hai jo manjdhaar se nikla kuchh bhi na mila mere kharidar ko mujh mein is ka bhi pata chashm-e-kharidar se nikla ye kaun hai jo ban ke kiran nach raha hai ye kaun hai jo rauzan-e-diwar se nikla us samt nazar aae ghazalan-e-qaba-posh is samt 'ziya' aql ke aazar se nikla