kabhi to dekhe hamari araq-fishani dhup jale bhawon pe kare apni mehrbani dhup hamare dagh ko jab aaftab ne dekha hua ye zard nazar aae zafrani dhup tap-e-firaq wo bad hai chadhe jo suraj ko pighal ke barf ki surat ho pani pani dhup safar saqar hai hazaron balaen sar par hain hai ek un mein se aaseb-e-asmani dhup tah-e-sahab rahe aaftab-e-roz-e-firaq shuaon se na kare mujh pe tegh-rani dhup kate jo raat bhi zakhmi-e-hijr ko to kya hai mar dalne ko chandni ki sani dhup rahe shagufta hum is tarah jaise aag ke phul kabhi na dasht-nawardi mein hum ne pani dhup safed baal hue jaise tewar aate hain bahut zaif ko dete hai sargirani dhup hamein to fasl-e-zamistan bahut khush aati hai wo thandi thandi hawa aur wo suhani dhup lagae abr ka lukka na kis tarah chhatri kare na chand se rangat ko aasmani dhup ajab nahin gul-e-rukhsar sausani ho jaen bahaar-e-husn ko hai aafat-e-khizani dhup amir shaal-doshaalon mein garm rahat-o-aish gharib ke liye jadon mein zindagani dhup zara si garm hawa mein ye munh banati hain na kar sakegi gulon ki mizaj-dani dhup muwafaqat na kabhi sard-o-garm mein hogi hai chandni meri piri teri jawani dhup shabab yaad dilate hai sar-safedi-e-'bahr' hai aaftab-e-jawani ki ye nishani dhup