uski KHwahish hai yahi harf-e-wazahat ke baghair

us ki khwahish hai yahi harf-e-wazahat ke baghair
ab koi khwab bhi dekhe na ijazat ke baghair

hum ko dhundo to hamein khone ki khatir dhundo
khwab tabir nahin hote hain hasrat ke baghair

dil ko ek kar-e-musalsal ne rakha hai aabaad
ek lamha bhi nahin guzra mohabbat ke baghair

yun bhi dushwar hai aasuda-e-sahra hona
aur jab khak bhi ho jaana ho wahshat ke baghair

waqt saffak hai itna kabhi socha bhi na tha
hum use yaad na kar paenge zahmat ke baghair

hum tere qarya-e-jaan-tab mein itna thahre
yani ek lamha guzar aae hain ujlat ke baghair

ab to hum khud se bhi kam-kam hi mila karte hain
kisi khwahish se alag aur zarurat ke baghair


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close