kabhi to dosto apne watan ki baat karen kabhi to chaak-e-dil-o-pairahan ki baat karen khirad ki bazm mein diwane-pan ki baat karen hikayaton mein kisi sim-tan ki baat karen gulon ke samne kya fikr-o-fan ki baat karen ye sada log hain un se chaman ki baat karen khayal-e-yar salamat hazar bazm-e-tarab ghazal ke nam pe gul-pairahan ki baat karen masham-e-jaan mein wo gesu mahakte jate hain kisi khutan ki na mushk-e-khutan ki baat karen nigah-e-fitna hai ek ek ada qayamat hai wo lakh ban ke bade bholpan ki baat karen bhali si baat azizon pe bar hoti hai dayar-e-ghair mein kaise watan ki baat karen shanasa chehre yahan ajnabi se lagte hain hon ahl-e-zauq to ahl-e-sukhan ki baat karen jahan pe qatl ho urdu zaban nafasat se chalo kuchh aaj usi anjuman ki baat karen