dil hai ki mohabbat mein apna na paraya hai kuchh soch ke us ne bhi diwana banaya hai jo waqt ki guzra hai jazbaat ke kuche mein kuchh ras nahin aaya kuchh ras bhi aaya hai aasan nahin ye aansu aaya hai jo palkon par rag rag se lahu le kar dipak ye jalaya hai ek rabt-e-hasin dekha be-rabti-e-alam mein hangama sahi lekin hangama sajaya hai pahchan liye hum ne tewar gham-e-dauran ke duniya mein raha lekin dhoka nahin khaya hai rahbar ho ki shaer ho kya apni khabar us ko khud kuchh bhi nahin sikha duniya ko sikhaya hai naghma hai 'nushur' apna afsurda-e-gham lekin ehsas ki mahfil mein kuchh rang to aaya hai