kabhi to rang-e-husn-e-yar dekhun kahan tak dida-e-khun-bar dekhun wahi dekhun jise dekha na jae ye manzar aur kitni bar dekhun palak jhapkun to phir in pattharon mein kahan aise mohabbat-zar dekhun kisi ka zakhm-e-dil dekha na jae jigar ho to koi shahkar dekhun kamanen tutti dekhi hain main ne ginun bahen ki lipte haar dekhun kisi ko is tarah dekhun to roun main kaise apna haal-e-zar dekhun dilon ke sab ghade kachche hain 'kausar' main kis ki rah dariya par dekhun