niyaz-o-naz ka paikar na arsh par thahra zamin ki god mein utra to barwar thahra gada-e-kucha-e-ulfat ne aabru pai dayar-e-shauq mein sultan se mo'tabar thahra jise nazar ne sunaya jise nazar ne suna wo git barbat-e-hasti ka zakhma-war thahra wafa ki rah mein nikle to rahdan ki tarah tere jamal ka partaw bhi ham-safar thahra charagh dur se dekhun to raushni le lun yahi tariq-e-gadai mera hunar thahra wo ek shakhs ki gumnam tha khudai mein tumhaare nam ke sadqe mein namwar thahra wo durr-e-nab ki sipi mein band tha 'kausar' kisi ne dhund nikala to khub-tar thahra