kabhi to sehn-e-ana se nikle kahin pe dasht-e-malal aaya hamari wahshat pe kaisa kaisa uruj aaya zawal aaya adawaten thin mohabbaten thin na jaane kitni hi hasraten thin magar phir aisa hua ki sab kuchh main khud hi dil se nikal aaya kabhi ibaadat kabhi inayat kabhi duaen kabhi ataen kahin pe dast-e-talab bane hum kahin pe hum tak sawal aaya gulon ke chehre khile hue hain hawa mein khush-bu mahak rahi hai ye meri aankhon ne khwab dekha ki sail-e-husn-o-jamal aaya tamam ranj o mehan ko chhoden tumhin ko dekhen tumhin ko sochen bade zamane ke baad dil mein ye bhula bisra khayal aaya ghazal sunaun to dad paun magar main tum se bhi kya chhupaun tumhi ne sare hunar sikhae tumhi se rang-e-'hilal' aaya