hum khud bhi hue nadim jab harf-e-dua nikla samjhe the jise patthar wo shakhs khuda nikla is dasht se ho kar bhi ek sail-e-ana nikla kuchh barg-e-shajar tute kuchh zor-e-hawa nikla uljhan ka sulajh jaana ek kham-khayali thi jab ghaur kiya hum ne ek pech naya nikla ai fitrat-e-sad mani 'ghaalib' ki ghazal hai tu jab husn tera parkha pahle se sawa nikla hum pas bhi jaane se jis shakhs ke darte the chhu kar jo use dekha mitti ka bana nikla phulon mein 'hilal' aao ab raqs-e-khizan dekhen kanton ke nagar mein to har bagh hara nikla